Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

aatish-e-gham mein bhabhuka dida-e-namnak tha

Mohammad Yaqoob Aamir

aatish-e-gham mein bhabhuka dida-e-namnak tha

Mohammad Yaqoob Aamir

MORE BYMohammad Yaqoob Aamir

    ātish-e-ġham meñ bhabhūkā dīda-e-namnāk thā

    āñsuoñ meñ jo zabāñ par harf thā bebāk thā

    chain kab lene detā thā kisī ġham hameñ

    ye na dekhā umr bhar apnā bhī dāman chaak thā

    ham shikasta-dil na bahra-mand duniyā se hue

    varna is ālūdgī se kis dāman paak thā

    jauhar-e-fan merā ḳhud merī nazar se gir gayā

    harf-e-dil par bhī zamāna kis qadar saffāk thā

    raat lāshoñ kuuḌā sub.h-dam pheñkā gayā

    kyā hamāre daur insāñ ḳhas-o-ḳhāshāk thā

    kitnā ḳhush hotā thā pahle āsmāñ ye dekh kar

    jo tamāsha thā jahāñ meñ vo tah-e-aflāk thā

    merā dushman jab huā raazī to hairānī huī

    mere aage aur bhī ik rū-e-haibatnāk thā

    kitnī bāteñ thiiñ hamāre zehn hissa magar

    tajrabe ke baad un aur idrāk thā

    ḳhū-e-insāñ ko azal se ye duniyā tañg hai

    jo varaq tārīḳh dekhā vo ibratnāk thā

    ham jo aa baiThe kabhī to tan meñ kāñTe chubhe

    sāya-e-gul bhī hameñ kitnā azīyat-nāk thā

    jalva-e-fitrat numāyāñ hai libās-e-rañg meñ

    husn har tahzīb meñ minnat-kash-e-poshāk thā

    sar ke nīche iiñT rakh kar umr bhar soyā hai

    āḳhirī bistar bhī 'āmir' terā farsh-e-ḳhāk thā

    aatish-e-gham mein bhabhuka dida-e-namnak tha

    aansuon mein jo zaban par harf tha bebak tha

    chain hi kab lene deta tha kisi ka gham hamein

    ye na dekha umr bhar apna bhi daman chaak tha

    hum shikasta-dil na bahra-mand duniya se hue

    warna is aaludgi se kis ka daman pak tha

    jauhar-e-fan mera KHud meri nazar se gir gaya

    harf-e-dil par bhi zamana kis qadar saffak tha

    raat ki lashon ka kuDa subh-dam phenka gaya

    kya hamare daur ka insan KHas-o-KHashak tha

    kitna KHush hota tha pahle aasman ye dekh kar

    jo tamasha tha jahan mein wo tah-e-aflak tha

    mera dushman jab hua raazi to hairani hui

    mere aage aur bhi ek ru-e-haibatnak tha

    kitni baaten thin hamare zehn ka hissa magar

    tajrabe ke baad un ka aur hi idrak tha

    KHu-e-insan ko azal se hi ye duniya tang hai

    jo waraq tariKH ka dekha wo ibratnak tha

    hum jo aa baiThe kabhi to tan mein kanTe hi chubhe

    saya-e-gul bhi hamein kitna aziyat-nak tha

    jalwa-e-fitrat numayan hai libas-e-rang mein

    husn har tahzib mein minnat-kash-e-poshak tha

    sar ke niche inT rakh kar umr bhar soya hai tu

    aaKHiri bistar bhi 'amir' tera farsh-e-KHak tha

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now