aatish-e-gham se guzarta roz hun
ātish-e-ġham se guzartā roz huuñ
roz maiñ jiitā huuñ martā roz huuñ
mere andar ek sūraj qaid hai
Dūbtā huuñ phir ubhartā roz huuñ
ek din ho jā.ūñgā miTTī kā Dher
thoḌā thoḌā sā bikhartā roz huuñ
zaḳhm-ālūda sipāhī kī tarah
zindagī se jang kartā roz huuñ
jaane kab āvāz de kar rok le
us ke kūche se guzartā roz huuñ
aatish-e-gham se guzarta roz hun
roz main jita hun marta roz hun
mere andar ek suraj qaid hai
Dubta hun phir ubharta roz hun
ek din ho jaunga miTTi ka Dher
thoDa thoDa sa bikharta roz hun
zaKHm-aluda sipahi ki tarah
zindagi se jang karta roz hun
jaane kab aawaz de kar rok le
us ke kuche se guzarta roz hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.