Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

aatish-e-ishq mein jalta hai to jal jaane de

Musavvir Lakhnavi

aatish-e-ishq mein jalta hai to jal jaane de

Musavvir Lakhnavi

MORE BYMusavvir Lakhnavi

    ātish-e-ishq meñ jaltā hai to jal jaane de

    dil-e-be-tāb ke armāñ to nikal jaane de

    nahīñ marzī na atā kar mire dil ko taskīñ

    shiddat-e-ġham meñ kuchh aañsū to nikal jaane de

    un ho jā.ūñgā maiñ vo mire ho jā.eñge

    lamha-e-gardish-e-ayyām to Tal jaane de

    terī mahfil meñ jahāñ sham.eñ haiñ aur jalve bhī

    ik charāġh-e-nigah-e-shauq bhī jal jaane de

    terī mahfil meñ bhī aa.egā 'musavvir' ik din

    dasht-e-vahshat meñ zarā dil to bahal jaane de

    aatish-e-ishq mein jalta hai to jal jaane de

    dil-e-be-tab ke arman to nikal jaane de

    nahin marzi na ata kar mere dil ko taskin

    shiddat-e-gham mein kuchh aansu to nikal jaane de

    un ka ho jaunga main wo mere ho jaenge

    lamha-e-gardish-e-ayyam to Tal jaane de

    teri mahfil mein jahan shamen hain aur jalwe bhi

    ek charagh-e-nigah-e-shauq bhi jal jaane de

    teri mahfil mein bhi aaega 'musawwir' ek din

    dasht-e-wahshat mein zara dil to bahal jaane de

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now