aatish-e-ishq mein jalta raha bujhta raha dil
ātish-e-ishq meñ jaltā rahā bujhtā rahā dil
rañj-e-betāb se dariyā kabhī sahrā rahā dil
ik safar haañ vo safar paañv kī zanjīr banā
ba.ad ai yaar tirī yaad meñ jaltā rahā dil
mahfil-ārā.ī kī ḳhvāhish thī so dil us ke sabab
mahfil-ārā rahā vīrāñ rahā tanhā rahā dil
mauja-e-ḳhūñ kisī siine meñ rukā thā kal raat
dard uThtā rahā chubhtā rahā dukhtā rahā dil
aatish-e-ishq mein jalta raha bujhta raha dil
ranj-e-betab se dariya kabhi sahra raha dil
ek safar han wo safar panw ki zanjir bana
baad ai yar teri yaad mein jalta raha dil
mahfil-arai ki KHwahish thi so dil us ke sabab
mahfil-ara raha viran raha tanha raha dil
mauja-e-KHun kisi sine mein ruka tha kal raat
dard uThta raha chubhta raha dukhta raha dil
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.