aatish-e-ishq ne aisa hi jalaya mujhko
ātish-e-ishq ne aisā hī jalāyā mujh ko
ki jahannum ne bhī muñh dekh chhupāyā mujh ko
be-ḳhabar kar diyā kaunain se yaaro pal meñ
gardish-e-chashm se jab jaam pilāyā mujh ko
maiñ kahā dil se ki kyā tujh ko huā vo bolā
ek baazī meñ in āñkhoñ ne harāyā mujh ko
chashm us shoḳh kī shoḳhī kā bayāñ shoḳhī hai
tarfat-ul-ain meñ dil le ke khijāyā mujh ko
dil meñ thā shauq kā iz.hār-o-bayāñ sab kiije
lekin us chashm lajīlī ne lajāyā mujh ko
abr-e-bārāñ kā bahut shor-o-shaġhab dekhā thā
iiñ pe us ashk ke tūfāñ ne bahāyā mujh ko
laḳht-e-dil bolā 'alī' chashm kī taqsīr ravā
dār-e-mizhgāñ pe abas tū ne chaḌhāyā mujh ko
aatish-e-ishq ne aisa hi jalaya mujh ko
ki jahannum ne bhi munh dekh chhupaya mujh ko
be-KHabar kar diya kaunain se yaro pal mein
gardish-e-chashm se jab jam pilaya mujh ko
main kaha dil se ki kya tujh ko hua wo bola
ek bazi mein in aankhon ne haraya mujh ko
chashm us shoKH ki shoKHi ka bayan shoKHi hai
tarfat-ul-ain mein dil le ke khijaya mujh ko
dil mein tha shauq ka izhaar-o-bayan sab kije
lekin us chashm lajili ne lajaya mujh ko
abr-e-baran ka bahut shor-o-shaghab dekha tha
in pe us ashk ke tufan ne bahaya mujh ko
laKHt-e-dil bola 'ali' chashm ki taqsir rawa
dar-e-mizhgan pe abas tu ne chaDhaya mujh ko
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.