aatish-e-zaKHm se jab sina pighalta tha mera
ātish-e-zaḳhm se jab siina pighaltā thā mirā
muñh se āvāz nahīñ ḳhuun nikaltā thā mirā
surḳh angāre dahakte the mirī āñkhoñ meñ
terī tauhīn pe jab rang badaltā thā mirā
itnī mānūs thī ehsās kī lau dhuup ke saath
jism sūraj ke utar jaane se jaltā thā mirā
kam na thī maut kī raftār se raftār-e-safar
saañs ruk jaate the jab qāfila chaltā thā mirā
ġhair ābād masāfat meñ ġhanīmat thī zamīñ
kārvāñ gard kī ḳhūrāk pe paltā thā mirā
dauḌte dauḌte maidān meñ pyāsoñ ke liye
paañv ke talvoñ se ehsās nikaltā thā mirā
habs andar kī nikaltī to havā ruk jaatī
saañs mushkil se ye māhaul nigaltā thā mirā
vahshatī rāhguzar tai na huī mujh se 'alī'
jism to jism hai saaya bhī dahaltā thā mirā
aatish-e-zaKHm se jab sina pighalta tha mera
munh se aawaz nahin KHun nikalta tha mera
surKH angare dahakte the meri aankhon mein
teri tauhin pe jab rang badalta tha mera
itni manus thi ehsas ki lau dhup ke sath
jism suraj ke utar jaane se jalta tha mera
kam na thi maut ki raftar se raftar-e-safar
sans ruk jate the jab qafila chalta tha mera
ghair aabaad masafat mein ghanimat thi zamin
karwan gard ki KHurak pe palta tha mera
dauDte dauDte maidan mein pyason ke liye
panw ke talwon se ehsas nikalta tha mera
habs andar ki nikalti to hawa ruk jati
sans mushkil se ye mahaul nigalta tha mera
wahshati rahguzar tai na hui mujh se 'ali'
jism to jism hai saya bhi dahalta tha mera
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.