aawargan-e-shauq sabhi ghar ke ho gae
āvārgān-e-shauq sabhī ghar ke ho ga.e
ik ham hī haiñ ki kūcha-e-dilbar ke ho ga.e
phir yuuñ huā ki tujh se bichhaḌnā paḌā hameñ
phir yuuñ lagā ki shahr samundar ke ho ga.e
kuchh dā.ere taġhayyur-e-duniyā ke saath saath
aaise khiñche ki ek hī mehvar ke ho ga.e
us shahr kī havā meñ hai aisā bhī ik fusūñ
jis jis ko chhū ga.ī sabhī patthar ke ho ga.e
sūraj Dhalā hī thā ki vo saa.e baḌhe ki 'shauq'
kam qāmatān-e-shahr barābar ke ho ga.e
aawargan-e-shauq sabhi ghar ke ho gae
ek hum hi hain ki kucha-e-dilbar ke ho gae
phir yun hua ki tujh se bichhaDna paDa hamein
phir yun laga ki shahr samundar ke ho gae
kuchh daere taghayyur-e-duniya ke sath sath
aaise khinche ki ek hi mehwar ke ho gae
us shahr ki hawa mein hai aisa bhi ek fusun
jis jis ko chhu gai sabhi patthar ke ho gae
suraj Dhala hi tha ki wo sae baDhe ki 'shauq'
kam qamatan-e-shahr barabar ke ho gae
- Book : naquush (Pg. 279)
- Edition : 1979
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.