aawaz apne dil ki hun bang-e-dara nahin
āvāz apne dil kī huuñ bāñg-e-darā nahīñ
aa.e na mere paas jo dard āshnā nahīñ
ġhairoñ se bhī nibāh tumhārā na ho sakā
kyā ab bhī ye kahoge ki tum bevafā nahīñ
chehroñ pe iḳhtilāf sadāoñ meñ intishār
is shahr-e-sañg-dil meñ koī ham-navā nahīñ
yuuñ gumrahī meñ aaj hai har shaḳhs mubtalā
jaise zamāne bhar meñ koī rahnumā nahīñ
manzil kidhar hai aur kidhar rāsta 'kamāl'
vo kyā batā.e jis ko ḳhud apnā patā nahīñ
aawaz apne dil ki hun bang-e-dara nahin
aae na mere pas jo dard aashna nahin
ghairon se bhi nibah tumhaara na ho saka
kya ab bhi ye kahoge ki tum bewafa nahin
chehron pe iKHtilaf sadaon mein intishaar
is shahr-e-sang-dil mein koi ham-nawa nahin
yun gumrahi mein aaj hai har shaKHs mubtala
jaise zamane bhar mein koi rahnuma nahin
manzil kidhar hai aur kidhar rasta 'kamal'
wo kya batae jis ko KHud apna pata nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.