aawaz de ke KHud ko bulana paDa mujhe
āvāz de ke ḳhud ko bulānā paḌā mujhe
apnī madad ko aap hī aanā paḌā mujhe
mujh se tumhāre aks ko kartā thā bad-gumāñ
ā.īna darmiyāñ se haTānā paḌā mujhe
phir is ke ba.ad jur.at-e-girya nahīñ huī
ik ashk ḳhaak se jo uThānā paḌā mujhe
phir yuuñ huā ki jhuuT kī aadat sī ho ga.ī
phir yuuñ huā ki sach ko chhupānā paḌā mujhe
paanī qubūl hī nahīñ kartā thā merī laash
dariyā ko apnā naam batānā paḌā mujhe
mehmān aa gayā thā so khāne kī mez par
jaltā huā charāġh bujhānā paḌā mujhe
dhartī ke zarf kā huā andāza jab 'munīr'
kuchh roz apnā bojh uThānā paḌā mujhe
aawaz de ke KHud ko bulana paDa mujhe
apni madad ko aap hi aana paDa mujhe
mujh se tumhaare aks ko karta tha bad-guman
aaina darmiyan se haTana paDa mujhe
phir is ke baad jurat-e-girya nahin hui
ek ashk KHak se jo uThana paDa mujhe
phir yun hua ki jhuT ki aadat si ho gai
phir yun hua ki sach ko chhupana paDa mujhe
pani qubul hi nahin karta tha meri lash
dariya ko apna nam batana paDa mujhe
mehman aa gaya tha so khane ki mez par
jalta hua charagh bujhana paDa mujhe
dharti ke zarf ka hua andaza jab 'munir'
kuchh roz apna bojh uThana paDa mujhe
- Book : Ghazal Calendar-2015 (Pg. 29.11.2015)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.