Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

aawaz de raha hun KHud apni qaza ko main

Kiran Kashmeeri

aawaz de raha hun KHud apni qaza ko main

Kiran Kashmeeri

MORE BYKiran Kashmeeri

    āvāz de rahā huuñ ḳhud apnī qazā ko maiñ

    kis taur dekhtā huuñ tirī chashm-e-vā ko maiñ

    allāh re husn-e-zauq-e-tamāshā ki in dinoñ

    har vaqt dekhtā huuñ tire naqsh-e-pā ko maiñ

    is kashmakash meñ ḳhatm huī rāh-e-zindagī

    tere karam ko yaad karūñ jafā ko maiñ

    haavī hai kā.enāt vus.at par azm-e-dil

    ab justujū hai pā.ūñ na.e ik samā ko maiñ

    kis ko ḳhabar 'kiran' hai kahāñ manzil-e-hayāt

    mushkil samajh rahā huuñ abhī ibtidā ko maiñ

    aawaz de raha hun KHud apni qaza ko main

    kis taur dekhta hun teri chashm-e-wa ko main

    allah re husn-e-zauq-e-tamasha ki in dinon

    har waqt dekhta hun tere naqsh-e-pa ko main

    is kashmakash mein KHatm hui rah-e-zindagi

    tere karam ko yaad karun ya jafa ko main

    hawi hai kaenat ki wusat par azm-e-dil

    ab justuju hai paun nae ek sama ko main

    kis ko KHabar 'kiran' hai kahan manzil-e-hayat

    mushkil samajh raha hun abhi ibtida ko main

    ગુજરાતી ભાષા-સાહિત્યનો મંચ : રેખ્તા ગુજરાતી

    ગુજરાતી ભાષા-સાહિત્યનો મંચ : રેખ્તા ગુજરાતી

    મધ્યકાલથી લઈ સાંપ્રત સમય સુધીની ચૂંટેલી કવિતાનો ખજાનો હવે છે માત્ર એક ક્લિક પર. સાથે સાથે સાહિત્યિક વીડિયો અને શબ્દકોશની સગવડ પણ છે. સંતસાહિત્ય, ડાયસ્પોરા સાહિત્ય, પ્રતિબદ્ધ સાહિત્ય અને ગુજરાતના અનેક ઐતિહાસિક પુસ્તકાલયોના દુર્લભ પુસ્તકો પણ તમે રેખ્તા ગુજરાતી પર વાંચી શકશો

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now