aawaz de rahi hai ye kis ki nazar mujhe
āvāz de rahī hai ye kis kī nazar mujhe
shāyad mile kināra vahīñ Duub kar mujhe
chāhā tujhe to ḳhud se mohabbat sī ho ga.ī
khone ke baad mil ga.ī apnī ḳhabar mujhe
har har qadam pe saath huuñ saaya huuñ maiñ tirā
ai bevafā dikhā to zarā bhuul kar mujhe
duniyā ko bhuul kar tirī duniyā meñ aa gayā
le jā rahā hai kaun idhar se udhar mujhe
duniyā kā har nazāra nigāhoñ se chhīn le
kuchh dekhnā nahīñ hai tujhe dekh kar mujhe
aawaz de rahi hai ye kis ki nazar mujhe
shayad mile kinara wahin Dub kar mujhe
chaha tujhe to KHud se mohabbat si ho gai
khone ke baad mil gai apni KHabar mujhe
har har qadam pe sath hun saya hun main tera
ai bewafa dikha to zara bhul kar mujhe
duniya ko bhul kar teri duniya mein aa gaya
le ja raha hai kaun idhar se udhar mujhe
duniya ka har nazara nigahon se chhin le
kuchh dekhna nahin hai tujhe dekh kar mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.