aaya hai waqt dost tere imtihan ka
aaya hai vaqt dost tire imtihān kā
rakhnā tū paas apne diye har bayān kā
mehmān ban ke aaya thā vo ek shaam ko
ma.alūm hai pata use mere makān kā
va.ade pe apne vo kabhī qaa.em nahīñ rahā
lagtā hai mujh ko jhūTā vo saare jahān kā
karte haiñ e.atibār zamāne ke log bhī
mīThā hai vo jahāñ meñ to apnī zabān kā
dekhā jo terā chehra mujhe pyaar ho gayā
āshiq huā huuñ maiñ tire til ke nishān kā
tujh ko nahīñ yaqīñ mirī har baat par sanam
ab kyā karūñ maiñ tere batā har gumān kā
aaya hai waqt dost tere imtihan ka
rakhna tu pas apne diye har bayan ka
mehman ban ke aaya tha wo ek sham ko
malum hai pata use mere makan ka
wade pe apne wo kabhi qaem nahin raha
lagta hai mujh ko jhuTa wo sare jahan ka
karte hain eatibar zamane ke log bhi
miTha hai wo jahan mein to apni zaban ka
dekha jo tera chehra mujhe pyar ho gaya
aashiq hua hun main tere til ke nishan ka
tujh ko nahin yaqin meri har baat par sanam
ab kya karun main tere bata har guman ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.