aaya kiye wo bahr-e-mulaqat chand roz
aaya kiye vo bahr-e-mulāqāt chand roz
par nā.ika se ho na sakī baat chand roz
kyā kyā huiiñ na un kī ināyāt chand roz
kī jin se ham ne tark-e-mulāqāt chand roz
fasl-e-bahār kī bhī hai auqāt chand roz
bulbul na phuul hai ye karāmāt chand roz
mumkin nahīñ ki saut kā jhagḌā miTe kahīñ
Tal jaa.e apne sar se vo āfāt chand roz
har chand ho gayā muā qaa.el hazār meñ
baaz aaya is pe bhī na vo bad-zāt chand roz
shukr-e-ḳhudā ki ek bhī bhārī paḌī unheñ
laate the chaar chaar jo haihāt chand roz
matlab ye thā ki chaal meñ aa jaa.e chhokrī
samjhī na baat kī buā maiñ ghaat chand roz
sāvan hai jhūle Daal ke gaao saheliyo
do din kā abr hai arī barsāt chand roz
hai chaar din kī zindagī ye baat phir kahāñ
kar lo buā jī harf-o-hikāyāt chand roz
dekheñ vafā nikāhī meñ hai yā mutā'ī meñ
leñ imtihān qibla-e-hājāt chand roz
'anqā' tumhārī aa ga.iiñ 'mohsin' surūr meñ
ab tum bhī kar do bazm ko barḳhāst chand roz
aaya kiye wo bahr-e-mulaqat chand roz
par naika se ho na saki baat chand roz
kya kya huin na un ki inayat chand roz
ki jin se hum ne tark-e-mulaqat chand roz
fasl-e-bahaar ki bhi hai auqat chand roz
bulbul na phul hai ye karamat chand roz
mumkin nahin ki saut ka jhagDa miTe kahin
Tal jae apne sar se wo aafat chand roz
har chand ho gaya mua qael hazar mein
baz aaya is pe bhi na wo bad-zat chand roz
shukr-e-KHuda ki ek bhi bhaari paDi unhen
late the chaar chaar jo haihat chand roz
matlab ye tha ki chaal mein aa jae chhokri
samjhi na baat ki bua main ghat chand roz
sawan hai jhule Dal ke gao saheliyo
do din ka abr hai ari barsat chand roz
hai chaar din ki zindagi ye baat phir kahan
kar lo bua ji harf-o-hikayat chand roz
dekhen wafa nikahi mein hai ya muta'i mein
len imtihan qibla-e-hajat chand roz
'anqa' tumhaari aa gain 'mohsin' surur mein
ab tum bhi kar do bazm ko barKHast chand roz
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.