aaya aaya wo dilruba aaya
aayā aayā vo dilrubā aayā
dard-e-dil le ke mudda.ā aayā
husn merā ḳhudā nahīñ lekin
bandagī meñ baḌā mazā aayā
aane do josh meñ talātum ko
apnī kashtī meñ ab ḳhudā aayā
kyā lagā.ī hai aag duniyā ko
kis qadar daur sar-phirā aayā
husn-e-kāmil tirī huzūrī meñ
jo bhī aayā vo pārsā aayā
tum bhī ḳhush ho mirī tabāhī se
ye batāo ki haath kyā aayā
jis 'musavvir' kī aarzū thī tujhe
vo tire shahr meñ chalā aayā
aaya aaya wo dilruba aaya
dard-e-dil le ke muddaa aaya
husn mera KHuda nahin lekin
bandagi mein baDa maza aaya
aane do josh mein talatum ko
apni kashti mein ab KHuda aaya
kya lagai hai aag duniya ko
kis qadar daur sar-phira aaya
husn-e-kaamil teri huzuri mein
jo bhi aaya wo parsa aaya
tum bhi KHush ho meri tabahi se
ye batao ki hath kya aaya
jis 'musawwir' ki aarzu thi tujhe
wo tere shahr mein chala aaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.