aaya hai ek shaKHs ajab aan-ban ka
aayā hai ek shaḳhs ajab ān-bān kā
naqsha badal gayā hai purāne makān kā
taare se TūTte haiñ abhī tak idhar-udhar
baaqī hai kuchh nasha abhī kal kī uḌaan kā
kālak sī jam rahī hai chamaktī zamīn par
sūraj se jal uThā hai varaq āsmān kā
dariyā meñ duur duur talak kashtiyāñ na thiiñ
ḳhatra na thā havā ko kisī bādbān kā
donoñ ke dil meñ ḳhauf thā maidān-e-jañg meñ
donoñ kā ḳhauf fāsla thā darmiyān kā
'alvī' kivāḌ khol ke dekhā to kuchh na thā
vo to qusūr thā mire vahm-o-gumān kā
aaya hai ek shaKHs ajab aan-ban ka
naqsha badal gaya hai purane makan ka
tare se TuTte hain abhi tak idhar-udhar
baqi hai kuchh nasha abhi kal ki uDan ka
kalak si jam rahi hai chamakti zamin par
suraj se jal uTha hai waraq aasman ka
dariya mein dur dur talak kashtiyan na thin
KHatra na tha hawa ko kisi baadban ka
donon ke dil mein KHauf tha maidan-e-jang mein
donon ka KHauf fasla tha darmiyan ka
'alwi' kiwaD khol ke dekha to kuchh na tha
wo to qusur tha mere wahm-o-guman ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.