aaya hai mujhko ek but-e-sim-bar se KHat
aayā hai mujh ko ek but-e-sīm-bar se ḳhat
maiñ kyoñ javāb meñ na likhūñ āb-e-zar se ḳhat
allah re shauq-e-silsila-e-nāma-o-payām
ik ḳhat gayā idhar se ik aayā udhar se ḳhat
kyā jānūñ hogā harf-e-tamannā bhī yā nahīñ
bhīgā thā likhte vaqt mirī chashm-e-tar se ḳhat
naama amal kā dekh na ai dāvar-e-nushūr
is par tū khīñch ḳhāma-e-rahmat-asar se ḳhat
har lafz us kā vah.y na kyoñ ho mire liye
likkhā hai us ne tā.er-e-sidra ke par se ḳhat
us par farefta kahīñ qāsid bhī ho na jaa.e
maiñ bhejtā nahīñ isī vahm-o-ḳhatar se ḳhat
'zā.iq' alī ke naam ko mushkil meñ aazmā
gardan pe teġh kā na paḌe is sipar se ḳhat
aaya hai mujh ko ek but-e-sim-bar se KHat
main kyon jawab mein na likhun aab-e-zar se KHat
allah re shauq-e-silsila-e-nama-o-payam
ek KHat gaya idhar se ek aaya udhar se KHat
kya jaanun hoga harf-e-tamanna bhi ya nahin
bhiga tha likhte waqt meri chashm-e-tar se KHat
nama amal ka dekh na ai dawar-e-nushur
is par tu khinch KHama-e-rahmat-asar se KHat
har lafz us ka wahy na kyon ho mere liye
likkha hai us ne taer-e-sidra ke par se KHat
us par farefta kahin qasid bhi ho na jae
main bhejta nahin isi wahm-o-KHatar se KHat
'zaiq' ali ke nam ko mushkil mein aazma
gardan pe tegh ka na paDe is sipar se KHat
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.