aaya hun tere pas mere yar dur se
aayā huuñ tere paas mire yaar duur se
dekhā hai maiñ ne sāya-e-dīvār duur se
nazdīk aa ke dekhā to āsān thī vo raah
mujh ko dikhā.ī dī thī jo dushvār duur se
andar se jā ke dekhā to ḳhush-kun makān thā
lagtā thā dekhne meñ pur-asrār duur se
us tak rasā.ī is qadar āsān to na thī
laayā huuñ us ko kar ke giraftār duur se
nazdīk se nazar nahīñ aatā kisī tarah
puurā dikhā.ī detā hai kohsār duur se
lekin hai kis tarah se mo.attar mashām-e-jāñ
guzrī thī mere yaar kī mahkār duur se
ab phone par hī kartā huuñ maiñ us se guftugū
ab chūmtā huuñ vo lab-o-ruḳhsār duur se
hañste haiñ mujh ko dekh ke ashjār aur tuyūr
ab dekhtā huuñ vo gul-o-gulzār duur se
aaya hun tere pas mere yar dur se
dekha hai main ne saya-e-diwar dur se
nazdik aa ke dekha to aasan thi wo rah
mujh ko dikhai di thi jo dushwar dur se
andar se ja ke dekha to KHush-kun makan tha
lagta tha dekhne mein pur-asrar dur se
us tak rasai is qadar aasan to na thi
laya hun us ko kar ke giraftar dur se
nazdik se nazar nahin aata kisi tarah
pura dikhai deta hai kohsar dur se
lekin hai kis tarah se moattar masham-e-jaan
guzri thi mere yar ki mahkar dur se
ab phone par hi karta hun main us se guftugu
ab chumta hun wo lab-o-ruKHsar dur se
hanste hain mujh ko dekh ke ashjar aur tuyur
ab dekhta hun wo gul-o-gulzar dur se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.