aaya hun tere KHwab kinare pe laga kar
aayā huuñ tire ḳhvāb kināre pe lagā kar
tūfān se ta.abīr kī kashtī ko bachā kar
jiine kā maza tujh ko bhī aa jā.egā lekin
jo tujh se daġhā karte haiñ to un se vafā kar
gaañv kī rivāyat ko rakhā qā.em-o-dā.em
is shahr meñ har moḌ pe ik peḌ lagā kar
is shahr kī galiyāñ bhī mujhe kahtī haiñ aajiz
le jaa.e hameñ us ke mohalle meñ uThā kar
aaya hun tere KHwab kinare pe laga kar
tufan se tabir ki kashti ko bacha kar
jine ka maza tujh ko bhi aa jaega lekin
jo tujh se dagha karte hain to un se wafa kar
ganw ki riwayat ko rakha qaem-o-daem
is shahr mein har moD pe ek peD laga kar
is shahr ki galiyan bhi mujhe kahti hain aajiz
le jae hamein us ke mohalle mein uTha kar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.