aaya jo tera zikr jigar chaak ho gaya
aayā jo terā zikr jigar chaak ho gayā
maiñ shām-e-hijr aur bhī ġhamnāk ho gayā
vo chashm-e-nāz DhūñDhtī rahtī hai mujh meñ kyā
shīsha thā ḳhvāb-e-vasl kā jo ḳhaak ho gayā
ham ḳhud harīs-e-lazzat-e-āzār ho ga.e
qissa tirī jafāoñ kā sab paak ho gayā
ab 'ishq meñ chhupī huī lālach hai dahr kī
majnūñ bhī is zamāne kā chālāk ho gayā
maz.hab se is ke dil meñ na paidā huā gudāz
ye aadmī to aur bhī saffāk ho gayā
insāñ ne inkisār ko jab tark kar diyā
apnī anā kī aap hī ḳhūrāk ho gayā
be-maslahat thā pahle bhī 'jā'far' kalām meñ
tere karam se aur bhī bebāk ho gayā
aaya jo tera zikr jigar chaak ho gaya
main sham-e-hijr aur bhi ghamnak ho gaya
wo chashm-e-naz DhunDhti rahti hai mujh mein kya
shisha tha KHwab-e-wasl ka jo KHak ho gaya
hum KHud haris-e-lazzat-e-azar ho gae
qissa teri jafaon ka sab pak ho gaya
ab 'ishq mein chhupi hui lalach hai dahr ki
majnun bhi is zamane ka chaalak ho gaya
mazhab se is ke dil mein na paida hua gudaz
ye aadmi to aur bhi saffak ho gaya
insan ne inkisar ko jab tark kar diya
apni ana ki aap hi KHurak ho gaya
be-maslahat tha pahle bhi 'ja'far' kalam mein
tere karam se aur bhi bebak ho gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.