aaya nahin wo jaur ka KHugar tamam raat
aayā nahīñ vo jaur kā ḳhūgar tamām raat
taḌpā kiyā mirā dil-e-muztar tamām raat
niiñd us ke husn-e-ruḳh ke tasavvur meñ aa.ī thī
dekhā hai barq-e-tūr kā manzar tamām raat
ye raaz mujh pe sham' ke anjām se khulā
kaTtī hai hijr-e-yār meñ kyūñkar tamām raat
ai ham-nafas na pūchh shab-e-hijr kā 'azāb
āñkhoñ meñ kāTnī paḌī aksar tamām raat
ik ham na un kī yaad meñ jhapkā sake palak
ik vo ki mahv-e-bāda-o-sāġhar tamām raat
vaqt-e-sahar ye jaanā ki jaage haiñ ham magar
sotā rahā hamārā muqaddar tamām raat
sīñchā hai āñsuoñ se bahut naḳhl-e-ārzū
lekin samar na aa sakā 'jauhar' tamām raat
aaya nahin wo jaur ka KHugar tamam raat
taDpa kiya mera dil-e-muztar tamam raat
nind us ke husn-e-ruKH ke tasawwur mein aai thi
dekha hai barq-e-tur ka manzar tamam raat
ye raaz mujh pe sham' ke anjam se khula
kaTti hai hijr-e-yar mein kyunkar tamam raat
ai ham-nafas na puchh shab-e-hijr ka 'azab
aankhon mein kaTni paDi aksar tamam raat
ek hum na un ki yaad mein jhapka sake palak
ek wo ki mahw-e-baada-o-saghar tamam raat
waqt-e-sahar ye jaana ki jage hain hum magar
sota raha hamara muqaddar tamam raat
sincha hai aansuon se bahut naKHl-e-arzu
lekin samar na aa saka 'jauhar' tamam raat
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.