Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

aaya zara si der raha ghul gaya badan

Farhat Ehsas

aaya zara si der raha ghul gaya badan

Farhat Ehsas

MORE BYFarhat Ehsas

    aayā zarā der rahā ġhul gayā badan

    apnī uḌaa.ī ḳhaak meñ rul gayā badan

    ḳhvāhish thī ābshār-e-mohabbat meñ ġhusl

    halkī ik phuvār meñ ghul gayā badan

    zer-e-kamān dil thā to thoḌī thī umiid

    ab to hamāre haath se bilkul gayā badan

    ab dekhtā huuñ maiñ to vo asbāb nahīñ

    lagtā hai rāste meñ kahīñ khul gayā badan

    maiñ ne bhī ek din use tārāj kar diyā

    mujh ko halāk karne pe jab tul gayā badan

    aaya zara si der raha ghul gaya badan

    apni uDai KHak mein hi rul gaya badan

    KHwahish thi aabshaar-e-mohabbat mein ghusl ki

    halki si ek phuwar mein hi ghul gaya badan

    zer-e-kaman dil tha to thoDi si thi umid

    ab to hamare hath se bilkul gaya badan

    ab dekhta hun main to wo asbab hi nahin

    lagta hai raste mein kahin khul gaya badan

    main ne bhi ek din use taraj kar diya

    mujh ko halak karne pe jab tul gaya badan

    Source :
    • Book : Mohabbat Kar Ke Dekho Na (Pg. 131)
    • Author :Farhat Ehsas
    • Publication : Rekhta Publications (2019)
    • Edition : First
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now