aazad ho chuka koi zanjir ho chuka
āzād ho chukā koī zanjīr ho chukā
ya.anī dayār-e-ḳhvāb bhī tasḳhīr ho chukā
pārīna ho chukī hai bahut dāstān-e-ishq
ik shahr-e-dasht najd meñ ta.amīr ho chukā
barbād kar chukā huuñ bahut kuchh ba-nām-e-ḳhvesh
aur jo bachā thā ġhair kī jāgīr ho chukā
kyā vaqt aa gayā hai mirī nasl par ki ab
merā adū bhī sāhab-e-tauqīr ho chukā
saiqal kiyā hai maiñ ne ise apne ḳhuun se
kis darja saaf ab ruḳh-e-shamshīr ho chukā
kaisī badal ke rah ga.ī hai merī kā.enāt
vo ḳhush-mizāj phuul bhī dil-gīr ho chukā
'sājid' nigāh Dāliye ab ird-gard bhī
zikr-e-rumūz rañg-e-asātīr ho chukā
aazad ho chuka koi zanjir ho chuka
yani dayar-e-KHwab bhi tasKHir ho chuka
parina ho chuki hai bahut dastan-e-ishq
ek shahr-e-dasht najd mein tamir ho chuka
barbaad kar chuka hun bahut kuchh ba-nam-e-KHwesh
aur jo bacha tha ghair ki jagir ho chuka
kya waqt aa gaya hai meri nasl par ki ab
mera adu bhi sahab-e-tauqir ho chuka
saiqal kiya hai main ne ise apne KHun se
kis darja saf ab ruKH-e-shamshir ho chuka
kaisi badal ke rah gai hai meri kaenat
wo KHush-mizaj phul bhi dil-gir ho chuka
'sajid' nigah Daliye ab ird-gard bhi
zikr-e-rumuz rang-e-asatir ho chuka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.