aazad nahin zehn abhi fikr-e-badan se
āzād nahīñ zehn abhī fikr-e-badan se
niklā nahīñ insān abhī apne gahan se
ab daar se miltā hai tirā qāmat-e-bālā
shikva thā tire qad ko bahut sarv-o-saman se
mausam kā nahīñ apne koī jism shanāsā
māthe kā ta.alluq nahīñ māthe kī shikan se
dushvār thā kuchh maiñ bhī zamāne ke hunar par
kuchh duur rakhā vaqt ne mujh ko mire fan se
kyā us ko ḳhabar hai kahāñ le jā.egī ḳhushbū
vo phuul ki utrā hai abhī shāḳh-e-chaman se
har rañg milā hai mujhe maazī kī dhanak se
har tarz na.ī aa.ī hai andāz-e-kuhan se
utrā hai 'samad' shahr pe vo rañg-e-takalluf
fan ko bhī ta.alluq nahīñ be-sāḳhta-pan se
aazad nahin zehn abhi fikr-e-badan se
nikla nahin insan abhi apne gahan se
ab dar se milta hai tera qamat-e-baala
shikwa tha tere qad ko bahut sarw-o-saman se
mausam ka nahin apne koi jism shanasa
mathe ka talluq nahin mathe ki shikan se
dushwar tha kuchh main bhi zamane ke hunar par
kuchh dur rakha waqt ne mujh ko mere fan se
kya us ko KHabar hai kahan le jaegi KHushbu
wo phul ki utra hai abhi shaKH-e-chaman se
har rang mila hai mujhe mazi ki dhanak se
har tarz nai aai hai andaz-e-kuhan se
utra hai 'samad' shahr pe wo rang-e-takalluf
fan ko bhi talluq nahin be-saKHta-pan se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.