Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

aazada-manish rah duniya mein parwa-e-ummid-o-bim na kar

Josh Malihabadi

aazada-manish rah duniya mein parwa-e-ummid-o-bim na kar

Josh Malihabadi

MORE BYJosh Malihabadi

    āzāda-manish rah duniyā meñ parvā-e-ummīd-o-bīm na kar

    jab tak na mileñ fitrat ke qadam ḳham dekh sar-e-taslīm na kar

    siine meñ hai us ke soz agar shaitāñ ke qadam le āñkhoñ par

    begāna-e-dard-e-dil hai agar jibrīl bhī tāzīm na kar

    kitnī shuā.eñ abr meñ hoñ ḳhurshīd-e-junūñ par īmāñ

    kitne dalā.el raushan hoñ dānish ko kabhī taslīm na kar

    sāñchoñ meñ barābar Dhaltā raftār-e-jahāñ se pher na muñh

    tansīḳh to kyā is daftar meñ jiinā hai to kuchh tarmīm na kar

    ai 'josh' hujūm-e-kulfat meñ fariyād o fuġhāñ se kaam na le

    ghaT jā.egā is se dil asar ajzā-e-tapish taqsīm na kar

    aazada-manish rah duniya mein parwa-e-ummid-o-bim na kar

    jab tak na milen fitrat ke qadam KHam dekh sar-e-taslim na kar

    sine mein hai us ke soz agar shaitan ke qadam le aankhon par

    begana-e-dard-e-dil hai agar jibril ki bhi tazim na kar

    kitni hi shuaen abr mein hon KHurshid-e-junun par iman la

    kitne hi dalael raushan hon danish ko kabhi taslim na kar

    sanchon mein barabar Dhalta ja raftar-e-jahan se pher na munh

    tansiKH to kya is daftar mein jina hai to kuchh tarmim na kar

    ai 'josh' hujum-e-kulfat mein fariyaad o fughan se kaam na le

    ghaT jaega is se dil ka asar ajza-e-tapish taqsim na kar

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now