aazmaish ke samundar se guzarna bhi to hai
aazmaish ke samundar se guzarna bhi to hai
Nusrat Ateeq Gorakhpur
MORE BYNusrat Ateeq Gorakhpur
āzmā.ish ke samundar se guzarnā bhī to hai
apne ḳhvāboñ meñ na.e rangoñ ko bharnā bhī to hai
tum ne jiine ke liye āsā.isheñ sab kar to liiñ
tum ye shāyad bhuul baiThe ho ki marnā bhī to hai
phuul kī chāhat meñ tum ko hosh itnā bhī nahīñ
un ko paanā hai to kāñToñ se guzarnā bhī to hai
tum kisī se TuuT kar milte nahīñ ho haañ magar
ek sadqa muskurā kar baat karnā bhī to hai
jāntī huuñ ahd-e-hāzir hai parāganda bahut
par isī māhaul meñ mujh ko nikharnā bhī to hai
nashsha-e-azmat meñ tum ko yaad itnā bhī nahīñ
ek din shohrat ke ziine se utarnā bhī to hai
tum ne kāñTe bo diye rāhoñ meñ sochā tak nahīñ
kitne logoñ ko isī rah se guzarnā bhī to hai
zindagī kī ye jo ik tartīb hai 'nusrat' yahāñ
in anāsir ko bahar-sūrat bikharnā bhī to hai
aazmaish ke samundar se guzarna bhi to hai
apne KHwabon mein nae rangon ko bharna bhi to hai
tum ne jine ke liye aasaishen sab kar to lin
tum ye shayad bhul baiThe ho ki marna bhi to hai
phul ki chahat mein tum ko hosh itna bhi nahin
un ko pana hai to kanTon se guzarna bhi to hai
tum kisi se TuT kar milte nahin ho han magar
ek sadqa muskura kar baat karna bhi to hai
jaanti hun ahd-e-hazir hai paraganda bahut
par isi mahaul mein mujh ko nikharna bhi to hai
nashsha-e-azmat mein tum ko yaad itna bhi nahin
ek din shohrat ke zine se utarna bhi to hai
tum ne kanTe bo diye rahon mein socha tak nahin
kitne logon ko isi rah se guzarna bhi to hai
zindagi ki ye jo ek tartib hai 'nusrat' yahan
in anasir ko bahar-surat bikharna bhi to hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.