aazmaish mein kaTi kuchh imtihanon mein rahi
āzmā.ish meñ kaTī kuchh imtihānoñ meñ rahī
zindagī kin rāstoñ meñ kin Thikānoñ meñ rahī
vo to ik halkī sī dastak de ke ruḳhsat ho gayā
ik sadā ras gholtī din-rāt kānoñ meñ rahī
likh ga.ī apne gharoñ meñ ek karb-e-nā-tamām
zindagī goyā hamāre mehrbānoñ meñ rahī
miT ga.iiñ āñgan meñ saarī kheltī parchhā.iyāñ
ek be-kaifī musalsal āshiyānoñ meñ rahī
vo zamīñ kī sarhadoñ meñ hī rahā 'anjum' muqīm
kyuuñ talāsh insān ko phir āsmānoñ meñ rahī
aazmaish mein kaTi kuchh imtihanon mein rahi
zindagi kin raston mein kin Thikanon mein rahi
wo to ek halki si dastak de ke ruKHsat ho gaya
ek sada ras gholti din-raat kanon mein rahi
likh gai apne gharon mein ek karb-e-na-tamam
zindagi goya hamare mehrbanon mein rahi
miT gain aangan mein sari khelti parchhaiyan
ek be-kaifi musalsal aashiyanon mein rahi
wo zamin ki sarhadon mein hi raha 'anjum' muqim
kyun talash insan ko phir aasmanon mein rahi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.