aazmaishen Dheron tajrabe hazaron hain
āzmā.isheñ Dheroñ tajrabe hazāroñ haiñ
sub.h-e-‘ishq ke pīchhe ratjage hazāroñ haiñ
in javān āñkhoñ meñ in sulagte sīnoñ meñ
be-shumār tūfāñ haiñ zalzale hazāroñ haiñ
vo bhī kaise din the ham titliyāñ pakaḌte the
zindagī meñ ab yaaro mas.ale hazāroñ haiñ
'ishq ke samandar kī ḳhaas baat ye bhī hai
koī ik ubhartā hai Dūbte hazāroñ haiñ
haa.e husn-e-jānāñ kī vus’atoñ kā kyā kahnā
ek markaza hai aur dā.ere hazāroñ haiñ
ik 'hayāt' ham hī bas 'ishq meñ nahīñ barbād
ġham-zada bahut se haiñ dil-jale hazāroñ haiñ
aazmaishen Dheron tajrabe hazaron hain
subh-e-‘ishq ke pichhe ratjage hazaron hain
in jawan aankhon mein in sulagte sinon mein
be-shumar tufan hain zalzale hazaron hain
wo bhi kaise din the hum titliyan pakaDte the
zindagi mein ab yaro masale hazaron hain
'ishq ke samandar ki KHas baat ye bhi hai
koi ek ubharta hai Dubte hazaron hain
hae husn-e-jaanan ki wus’aton ka kya kahna
ek markaza hai aur daere hazaron hain
ek 'hayat' hum hi bas 'ishq mein nahin barbaad
gham-zada bahut se hain dil-jale hazaron hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.