aazmane ki zamane ko zarurat kya hai
āzmāne kī zamāne ko zarūrat kyā hai
ham se pūchho to batā deñge mohabbat kyā hai
ham ne piir aur faqīroñ se bahut pūchhā magar
jab huā 'ishq to jaanā ki 'ibādat kyā hai
ham ko aatā nahīñ ḳhāmoshiyāñ paḌhne kā hunar
vo hī batlā deñ unheñ ham se shikāyat kyā hai
merī ġhazleñ vo paḌheñge to samajh jā.eñge
bandagī kyā hai junūñ kyā hai 'aqīdat kyā hai
aap ne jis ko farishte kā diyā thā darja
us kī insānoñ sī fitrat hai to hairat kyā hai
un se bichhḌe to 'amit' aayā samajh ye ham ko
shāḳh se TuuTe hue pattoñ kī qīmat kyā hai
aazmane ki zamane ko zarurat kya hai
hum se puchho to bata denge mohabbat kya hai
hum ne pir aur faqiron se bahut puchha magar
jab hua 'ishq to jaana ki 'ibaadat kya hai
hum ko aata nahin KHamoshiyan paDhne ka hunar
wo hi batla den unhen hum se shikayat kya hai
meri ghazlen wo paDhenge to samajh jaenge
bandagi kya hai junun kya hai 'aqidat kya hai
aap ne jis ko farishte ka diya tha darja
us ki insanon si fitrat hai to hairat kya hai
un se bichhDe to 'amit' aaya samajh ye hum ko
shaKH se TuTe hue patton ki qimat kya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.