ab aa bhi jao, bahut din hue mile hue bhi
ab aa bhī jaao, bahut din hue mile hue bhī
bhulā hī deñge agar dil meñ kuchh gile hue bhī
hamārī raah alag hai, hamāre ḳhvāb judā
ham un ke saath na hoñge, jo qāfile hue bhī
hujūm-e-shahr-e-ḳhirad meñ bhī ham se ahl-e-junūñ
alag dikheñge, garebāñ jo hoñ sile hue bhī
hameñ na yaad dilāo hamāre ḳhvāb-e-suḳhan
ki ek umr hue hoñT tak hile hue bhī
nazar kii, aur manāzir kī baat apnī jagah
hamāre dil ke kahāñ ab, jo silsile hue bhī
yahāñ hai chāk-e-qafas se udhar ik aur qafas
so ham ko kyaa, jo chaman meñ hoñ gul khule hue bhī
hameñ to apne usūloñ kī jañg jītnī hai
kise ġharaz, jo koī fat.h ke sile hue bhī
ab aa bhi jao, bahut din hue mile hue bhi
bhula hi denge agar dil mein kuchh gile hue bhi
hamari rah alag hai, hamare KHwab juda
hum un ke sath na honge, jo qafile hue bhi
hujum-e-shahr-e-KHirad mein bhi hum se ahl-e-junun
alag dikhenge, gareban jo hon sile hue bhi
hamein na yaad dilao hamare KHwab-e-suKHan
ki ek umr hue honT tak hile hue bhi
nazar ki, aur manazir ki baat apni jagah
hamare dil ke kahan ab, jo silsile hue bhi
yahan hai chaak-e-qafas se udhar ek aur qafas
so hum ko kya, jo chaman mein hon gul khule hue bhi
hamein to apne usulon ki jang jitni hai
kise gharaz, jo koi fath ke sile hue bhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.