Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ab aa gae ho to raftagan ko bhi yaad rakhna

Fayyaz tahseen

ab aa gae ho to raftagan ko bhi yaad rakhna

Fayyaz tahseen

MORE BYFayyaz tahseen

    ab aa ga.e ho to raftagāñ ko bhī yaad rakhnā

    bichhaḌte lamhoñ dāstāñ ko bhī yaad rakhnā

    zamīñ pe apne qadam jamā kar na bhuul jaanā

    saroñ pe Thahre is āsmāñ ko bhī yaad rakhnā

    havā-e-tishna chhīn lenā makīn-e-jāñ ko

    magar larazte hue makāñ ko bhī yaad rakhnā

    sarāb āḳhir mirī āñkhoñ mo.ajaza hai

    yaqīñ manzil meñ is gumāñ ko bhī yaad rakhnā

    agarche ḳhvāhish aks lafzoñ meñ aa gayā hai

    jo chashm-e-tar meñ hai is zabāñ ko bhī yaad rakhnā

    tujhe ḳhabar hai ki ibtidā bhī hai intihā bhī

    jahān-e-ma.anī meñ darmiyāñ ko bhī yaad rakhnā

    kabhī jo aiboñ ke tiir ghā.el kareñ nazar ko

    to ḳhvāhishoñ jhukī kamāñ ko bhī yaad rakhnā

    ab aa gae ho to raftagan ko bhi yaad rakhna

    bichhaDte lamhon ki dastan ko bhi yaad rakhna

    zamin pe apne qadam jama kar na bhul jaana

    saron pe Thahre is aasman ko bhi yaad rakhna

    hawa-e-tishna ka chhin lena makin-e-jaan ko

    magar larazte hue makan ko bhi yaad rakhna

    sarab aaKHir meri hi aankhon ka moajaza hai

    yaqin ki manzil mein is guman ko bhi yaad rakhna

    agarche KHwahish ka aks lafzon mein aa gaya hai

    jo chashm-e-tar mein hai is zaban ko bhi yaad rakhna

    tujhe KHabar hai ki ibtida bhi hai intiha bhi

    jahan-e-mani mein darmiyan ko bhi yaad rakhna

    kabhi jo aibon ke tir ghael karen nazar ko

    to KHwahishon ki jhuki kaman ko bhi yaad rakhna

    Source :
    • Book : AURAAQ (Pg. 246)
    • Author : Wazir Agha, Sajjad Naqvi
    • Publication : Auraaq Chauk, Urdu Bazar, Lahore (April, May 1982)
    • Edition : April, May 1982
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now