ab āftāb-e-munavvar pe qurb-e-shām huā
ik aur saal mirī 'umr kā tamām huā
ragoñ meñ gardish-e-ḳhūñ kā ġhulām Thahrā hai
na us badan kā kabhī mujh se ehtirām huā
mire chahār-taraf hai hisār-e-mahrūmī
tamām-umr kaTī aur na koī kaam huā
koī zamīn na daldal na āsmān hai ab
kahāñ pahuñch ke mirī rah kā iḳhtitām huā
'ajab latīf sī tezābiyat thī lahje meñ
baḌe ḳhulūs se jis dam vo ham-kalām huā
sunā hai raat farishte chhupe the ma.abad meñ
hamāre shahr meñ phir aaj qatl-e-ām huā
hazār qatl ke badle meñ ye sa.ādat hai
ki ek shaḳhs kisī qaum kā imaam huā
ab aaftab-e-munawwar pe qurb-e-sham hua
ek aur sal meri 'umr ka tamam hua
ragon mein gardish-e-KHun ka ghulam Thahra hai
na us badan ka kabhi mujh se ehtiram hua
mere chahaar-taraf hai hisar-e-mahrumi
tamam-umr kaTi aur na koi kaam hua
koi zamin na daldal na aasman hai ab
kahan pahunch ke meri rah ka iKHtitam hua
'ajab latif si tezabiyat thi lahje mein
baDe KHulus se jis dam wo ham-kalam hua
suna hai raat farishte chhupe the mabad mein
hamare shahr mein phir aaj qatl-e-am hua
hazar qatl ke badle mein ye saadat hai
ki ek shaKHs kisi qaum ka imam hua
Source :
- Book : Jazira meri aafiyat ka (Pg. 38)
- Author : Shafiq Abbas
-
Publication : Kitab Daar
(2007)
- Edition : 2007
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.