ab aisa bhi andaz-e-bayan Thik nahin hai
ab aisā bhī andāz-e-bayāñ Thiik nahīñ hai
qātil ko kahīñ rāhat-e-jāñ Thiik nahīñ hai
be-jazb-e-darūñ āh-o-fuġhāñ Thiik nahīñ hai
jab aag nahīñ hai to dhuāñ Thiik nahīñ hai
maanā ki sitamgar kī hai rassī ko bahut Dhiil
par itnī bhī allāh-miyāñ Thiik nahīñ hai
tum us ko kaho jo bhī vo sab Thiik hai lekin
ham us ko kaheñ dushman-e-jāñ Thiik nahīñ hai
hai shahr-e-sitamgar to ġham-e-sūd-o-ziyāñ kyā
maqtal meñ to andesha-e-jāñ Thiik nahīñ hai
ab aisa bhi andaz-e-bayan Thik nahin hai
qatil ko kahin rahat-e-jaan Thik nahin hai
be-jazb-e-darun aah-o-fughan Thik nahin hai
jab aag nahin hai to dhuan Thik nahin hai
mana ki sitamgar ki hai rassi ko bahut Dhil
par itni bhi allah-miyan Thik nahin hai
tum us ko kaho jo bhi wo sab Thik hai lekin
hum us ko kahen dushman-e-jaan Thik nahin hai
hai shahr-e-sitamgar to gham-e-sud-o-ziyan kya
maqtal mein to andesha-e-jaan Thik nahin hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.