ab aisi na-umidi bhi nahin hai
ab aisī nā-umīdī bhī nahīñ hai
bahār aa.egī phir ham ko yaqīñ hai
taġhayyur ko lagā kartī haiñ sadiyāñ
karishma do ghaḌī kā ye nahīñ hai
na ho paa.e na hoñge fāsle kam
azal se yūñhī gardish meñ zamīñ hai
yahī hai rishta-e-tār-e-nafas ab
jo ik nashtar sā dil meñ jāguzīñ hai
vahī rah rah ke ham se pūchhte haiñ
bayāñ jis baat kā āsāñ nahīñ hai
na pūchho ham se mausam kī haqīqat
mizāj-e-yār kī chīn-e-jabīñ hai
ham ab ke ḳhatm samjhe the kahānī
dil-e-pur-azm tujh ko āfrīñ hai
chalo ik din 'sahar' us but se mil aa.eñ
bahut din se use dekhā nahīñ hai
ab aisi na-umidi bhi nahin hai
bahaar aaegi phir hum ko yaqin hai
taghayyur ko laga karti hain sadiyan
karishma do ghaDi ka ye nahin hai
na ho pae na honge fasle kam
azal se yunhi gardish mein zamin hai
yahi hai rishta-e-tar-e-nafas ab
jo ek nashtar sa dil mein jaguzin hai
wahi rah rah ke hum se puchhte hain
bayan jis baat ka aasan nahin hai
na puchho hum se mausam ki haqiqat
mizaj-e-yar ki chin-e-jabin hai
hum ab ke KHatm samjhe the kahani
dil-e-pur-azm tujh ko aafrin hai
chalo ek din 'sahar' us but se mil aaen
bahut din se use dekha nahin hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.