ab apne aapko hairat se dekhta hun main
ab apne aap ko hairat se dekhtā huuñ maiñ
vo merā aks hai yā us kā aa.ina huuñ maiñ
ye kis maqām pe apne ko pā rahā huuñ maiñ
kahīñ pukār na uTThūñ ki ab ḳhudā huuñ maiñ
mirī navā se hai raushan charāġh-e-dair-o-haram
abad kā soz huuñ maiñ sāz-e-ibtidā huuñ maiñ
na sang-e-mīl na manzil na kārvāñ na ġhubār
vufūr-e-shauq meñ had se guzar gayā huuñ maiñ
na ab hijāb hai baaqī na qaid-e-rasm-e-hijāb
ye kis maqām pe apne ko pā rahā huuñ maiñ
mujhī se ġhaib kā aalam mujhī se husn-e-shuhūd
'ḳhalish' majāz-o-haqīqat kā aa.ina huuñ maiñ
ab apne aap ko hairat se dekhta hun main
wo mera aks hai ya us ka aaina hun main
ye kis maqam pe apne ko pa raha hun main
kahin pukar na uTThun ki ab KHuda hun main
meri nawa se hai raushan charagh-e-dair-o-haram
abad ka soz hun main saz-e-ibtida hun main
na sang-e-mil na manzil na karwan na ghubar
wufur-e-shauq mein had se guzar gaya hun main
na ab hijab hai baqi na qaid-e-rasm-e-hijab
ye kis maqam pe apne ko pa raha hun main
mujhi se ghaib ka aalam mujhi se husn-e-shuhud
'KHalish' majaz-o-haqiqat ka aaina hun main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.