ab apne des ki aab-o-hawa hum ko nahin bhati
ab apne des kī āb-o-havā ham ko nahīñ bhātī
ġhulāmī ek zillat thī sarāpā dard āzādī
qayādat karne vāloñ ko masīhā.ī kā da.avā thā
kisī ne lekin ab tak qaum kī biiḌī nahīñ kaaTī
abhī tak paañv se chimTī haiñ zanjīreñ ġhulāmī kī
din aa jaatā hai āzādī kā āzādī nahīñ aatī
unhīñ aqvām ke rahm-o-karam par ab bhī jiite haiñ
ġhurūr-e-hurriyat ne jin se hāsil kī thī āzādī
bajā-e-fikr-e-nau raj.at-pasandī aam sheva hai
haqīqat meñ musalmāñ har jagah hai kushta-e-māzī
karachi meñ muhājir aur inglistān meñ kaale
tirī taqdīr meñ 'jāmī' likhī hai ḳhāna-barbādī
ab apne des ki aab-o-hawa hum ko nahin bhati
ghulami ek zillat thi sarapa dard aazadi
qayaadat karne walon ko masihai ka dawa tha
kisi ne lekin ab tak qaum ki biDi nahin kaTi
abhi tak panw se chimTi hain zanjiren ghulami ki
din aa jata hai aazadi ka aazadi nahin aati
unhin aqwam ke rahm-o-karam par ab bhi jite hain
ghurur-e-hurriyat ne jin se hasil ki thi aazadi
baja-e-fikr-e-nau rajat-pasandi aam shewa hai
haqiqat mein musalman har jagah hai kushta-e-mazi
karachi mein muhajir aur inglistan mein kale
teri taqdir mein 'jami' likhi hai KHana-barbaadi
- Book : Shora-e-London (Pg. 183)
- Author : Jauhar Zahiri
- Publication : Books From India (U.K) Ltd. 45, Museum Street,Londan W.C-1 (1985)
- Edition : 1985
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.