ab aur daman-e-dil tar-tar kya karte
ab aur dāman-e-dil tār-tār kyā karte
alam-nasīb umīd-e-bahār kyā karte
samajh liyā thā sar-e-shām tum na aaoge
tamām raat bhalā intizār kyā karte
subuk-ḳhirām the sab shāhrāh-e-resham par
ye mauj-e-ḳhūñ milī jin ko vo paar kyā karte
thī jab nasīb meñ āvārgī bagūloñ ke
bikhar na jaate jo misl-e-ġhubār kyā karte
hadaf banāte kise kaj-kulāh phir āḳhir
junūñ-pasand na hote to daar kyā karte
vo nik.hat-e-gul-e-tar ban ke dil meñ Thahrā thā
tamām shahr ke zohra-nigār kyā karte
ye jānte the ki bijlī vahīñ pe girnī hai
to us se rahm talab baar baar kyā karte
dar-e-qubūl hī jis ko na yaad rah paayā
use duāoñ meñ apnī shumār kyā karte
jhapakne paa.eñ na palkeñ tamām shab 'az.har'
ab aur dīda-e-ḳhū-nāba-bār kyā karte
ab aur daman-e-dil tar-tar kya karte
alam-nasib umid-e-bahaar kya karte
samajh liya tha sar-e-sham tum na aaoge
tamam raat bhala intizar kya karte
subuk-KHiram the sab shahrah-e-resham par
ye mauj-e-KHun mili jin ko wo par kya karte
thi jab nasib mein aawargi bagulon ke
bikhar na jate jo misl-e-ghubar kya karte
hadaf banate kise kaj-kulah phir aaKHir
junun-pasand na hote to dar kya karte
wo nikhat-e-gul-e-tar ban ke dil mein Thahra tha
tamam shahr ke zohra-nigar kya karte
ye jaante the ki bijli wahin pe girni hai
to us se rahm talab bar bar kya karte
dar-e-qubul hi jis ko na yaad rah paya
use duaon mein apni shumar kya karte
jhapakne paen na palken tamam shab 'azhar'
ab aur dida-e-KHu-naba-bar kya karte
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.