ab bahut ji udas rahta hai
ab bahut jī udaas rahtā hai
kyā tirī aarzū bhī dhokā hai
zindagī hāsil-e-tamannā hai
zindagī dhuup hai na saayā hai
is tarah chup huuñ ab bhulā ke use
jaise ye bhī mirī tamannā hai
baḌhtī jaatī hai jitnī tārīkī
sub.h-e-nau kā yaqīn hotā hai
azm-e-zauq-e-safar javāñ hai agar
rahzanī kyā hai rahbarī kyā hai
kis ko ilzām-e-bevafā.ī deñ
tum bhī apne ho dil bhī apnā hai
ab vahāñ par huuñ maiñ jahāñ 'shabnam'
merā ehsās bhī parāyā hai
ab bahut ji udas rahta hai
kya teri aarzu bhi dhoka hai
zindagi hasil-e-tamanna hai
zindagi dhup hai na saya hai
is tarah chup hun ab bhula ke use
jaise ye bhi meri tamanna hai
baDhti jati hai jitni tariki
subh-e-nau ka yaqin hota hai
azm-e-zauq-e-safar jawan hai agar
rahzani kya hai rahbari kya hai
kis ko ilzam-e-bewafai den
tum bhi apne ho dil bhi apna hai
ab wahan par hun main jahan 'shabnam'
mera ehsas bhi paraya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.