ab band jo is abr-e-guhar-bar ko lag jae
ab band jo is abr-e-guhar-bār ko lag jaa.e
kuchh dhuup hamāre dar-o-dīvār ko lag jaa.e
palkoñ pe sajā.e raho ummīd ke jugnū
kyā jāniye kis kī duā bīmār ko lag jaa.e
suulī pe bhī is baat kī koshish hai hamārī
īsār hamārā tire me.aar ko lag jaa.e
haq-goī se merī hī pareshān hai duniyā
kyā ho ye vabā aur jo do-chār ko lag jaa.e
thoḌī sī rahe jeb-e-ḳharīdār kushāda
thoḌā sā gahan raunaq-e-bāzār ko lag jaa.e
ab band jo is abr-e-guhar-bar ko lag jae
kuchh dhup hamare dar-o-diwar ko lag jae
palkon pe sajae raho ummid ke jugnu
kya jaaniye kis ki dua bimar ko lag jae
suli pe bhi is baat ki koshish hai hamari
isar hamara tere mear ko lag jae
haq-goi se meri hi pareshan hai duniya
kya ho ye waba aur jo do-chaar ko lag jae
thoDi si rahe jeb-e-KHaridar kushada
thoDa sa gahan raunaq-e-bazar ko lag jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.