ab bhī aa.e hai vo galī merī
us ko honā hai aaj bhī merī
jāntī hai vo merī ik ik baat
us ne paḌh lī hai diary merī
tez-raftār ho gayā huuñ maiñ
aage chalne lagī ghaḌī merī
sone chāñdī ke ek pinjre meñ
qaid hai āj-kal parī merī
ḳhvāhishoñ kā ġhulām huuñ maiñ bhī
kaam aa.ī na āgahī merī
aap to baat merī sun liije
zindagī ne nahīñ sunī merī
log badnām kar rahe haiñ use
dekhī jaatī nahīñ ḳhushī merī
ab bhi aae hai wo gali meri
us ko hona hai aaj bhi meri
jaanti hai wo meri ek ek baat
us ne paDh li hai diary meri
tez-raftar ho gaya hun main
aage chalne lagi ghaDi meri
sone chandi ke ek pinjre mein
qaid hai aaj-kal pari meri
KHwahishon ka ghulam hun main bhi
kaam aai na aagahi meri
aap to baat meri sun lije
zindagi ne nahin suni meri
log badnam kar rahe hain use
dekhi jati nahin KHushi meri
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.