ab bhi aksar dhyan tumhaara aata hai
ab bhī aksar dhyān tumhārā aatā hai
dekho guzrā vaqt dobāra aatā hai
aah nahīñ aatī hai ab to hoñToñ tak
siine se bas ik añgāra aatā hai
jaane kis duniyā meñ sotī jāgtī haiñ
jin āñkhoñ se ḳhvāb hamārā aatā hai
din bhar jañgal kī āvāzeñ aatī haiñ
raat ko ghar meñ jañgal saarā aatā hai
jin rātoñ meñ chāñd ho yā phir chāñd na ho
yaad bahut us kā ruḳhsāra aatā hai
ab bhi aksar dhyan tumhaara aata hai
dekho guzra waqt dobara aata hai
aah nahin aati hai ab to honTon tak
sine se bas ek angara aata hai
jaane kis duniya mein soti jagti hain
jin aankhon se KHwab hamara aata hai
din bhar jangal ki aawazen aati hain
raat ko ghar mein jangal sara aata hai
jin raaton mein chand ho ya phir chand na ho
yaad bahut us ka ruKHsara aata hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.