ab bhi ek wardat baqi hai
ab bhī ik vārdāt baaqī hai
din huā qatl raat baaqī hai
ho ga.ī dafn aas kī dulhan
dard-o-ġham kī barāt baaqī hai
kyā huā saath aap ne chhoḌā
ġham-zada dil kā saat baaqī hai
zindagī go nahīñ hai shahroñ meñ
jangaloñ meñ hayāt baaqī hai
baat to ho chukī thī ḳhatm magar
jaane kyoñ phir bhī baat baaqī hai
ranj sahne ke vāste 'shāġhil'
ik hamārī hī zaat baaqī hai
ab bhi ek wardat baqi hai
din hua qatl raat baqi hai
ho gai dafn aas ki dulhan
dard-o-gham ki baraat baqi hai
kya hua sath aap ne chhoDa
gham-zada dil ka sat baqi hai
zindagi go nahin hai shahron mein
jangalon mein hayat baqi hai
baat to ho chuki thi KHatm magar
jaane kyon phir bhi baat baqi hai
ranj sahne ke waste 'shaghil'
ek hamari hi zat baqi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.