ab bhi KHamosh agar ho to kahan bologe
ab bhī ḳhāmosh agar ho to kahāñ bologe
mujh ko lagtā nahīñ tum haq kī zabāñ bologe
vaqt ke saath ye luknat bhī chalī jā.egī
naam aayā vo zabāñ par to ravāñ bologe
tum ko ho jā.egī jis roz mohabbat ḳhud se
maiñ na kahtā thā ki tum ḳhud ko javāñ bologe
ḳhilqat-e-shahr sunegī ye tumhārī bāteñ
ḳhud hī ban jā.egā māhaul jahāñ bologe
sāhib-e-‘ilm agar ho to kisī jāhil se
baat karne ko bhī lamhoñ kā ziyāñ bologe
aur to kuchh nahīñ bas log hañseñge tum par
Thahre paanī ko agar āb-e-ravāñ bologe
ai mire dost mujhe tum se ye ummīd na thī
tum mire sāmne dushman kī zabāñ bologe
ab bhi KHamosh agar ho to kahan bologe
mujh ko lagta nahin tum haq ki zaban bologe
waqt ke sath ye luknat bhi chali jaegi
nam aaya wo zaban par to rawan bologe
tum ko ho jaegi jis roz mohabbat KHud se
main na kahta tha ki tum KHud ko jawan bologe
KHilqat-e-shahr sunegi ye tumhaari baaten
KHud hi ban jaega mahaul jahan bologe
sahib-e-‘ilm agar ho to kisi jahil se
baat karne ko bhi lamhon ka ziyan bologe
aur to kuchh nahin bas log hansenge tum par
Thahre pani ko agar aab-e-rawan bologe
ai mere dost mujhe tum se ye ummid na thi
tum mere samne dushman ki zaban bologe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.