ab bhi milte hain karam bar-e-nazar hoti hai
ab bhī milte haiñ karam bār-e-nazar hotī hai
par mulāqāt ba-andāz-e-digar hotī hai
ab na hamdard añdherā hai na shab kā parda
ab tirī ḳhair ho ai dil ki sahar hotī hai
ishq aur husn ko aapas meñ magan rahne do
varna buniyād jahāñ zer-o-zabar hotī hai
un ke jaate hī ye ho jaatī hai hālat apnī
kaan aahaT pe lage dar pe nazar hotī hai
ham jo ruḳhsat hue duniyā se to duniyā chauñkī
dil na jab dhaḌke jabhī dil kī ḳhabar hotī hai
ab bhi milte hain karam bar-e-nazar hoti hai
par mulaqat ba-andaz-e-digar hoti hai
ab na hamdard andhera hai na shab ka parda
ab teri KHair ho ai dil ki sahar hoti hai
ishq aur husn ko aapas mein magan rahne do
warna buniyaad jahan zer-o-zabar hoti hai
un ke jate hi ye ho jati hai haalat apni
kan aahaT pe lage dar pe nazar hoti hai
hum jo ruKHsat hue duniya se to duniya chaunki
dil na jab dhaDke jabhi dil ki KHabar hoti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.