ab bhi palkon pe kuchh ghaTaen hain
ab bhī palkoñ pe kuchh ghaTā.eñ haiñ
bhīge mausam haiñ nam havā.eñ haiñ
raat ḳhvāboñ meñ kaun aayā thā
kis liye auj par adā.eñ haiñ
dil usī shaḳhs kī balā.eñ le
jis ke hone se sab balā.eñ haiñ
jin ko oḌhā hai be-hijābī meñ
vo tire pyaar kī qabā.eñ haiñ
hasb-e-ma.amūl be-ruḳhī us kī
hasb-e-ādat mirī sadā.eñ haiñ
ab bhi palkon pe kuchh ghaTaen hain
bhige mausam hain nam hawaen hain
raat KHwabon mein kaun aaya tha
kis liye auj par adaen hain
dil usi shaKHs ki balaen le
jis ke hone se sab balaen hain
jin ko oDha hai be-hijabi mein
wo tere pyar ki qabaen hain
hasb-e-mamul be-ruKHi us ki
hasb-e-adat meri sadaen hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.