ab bhi rahta hai KHayalon mein samaya hua shaKHs
ab bhī rahtā hai ḳhayāloñ meñ samāyā huā shaḳhs
apnī nādānī se raste meñ gañvāyā huā shaḳhs
merī qismat meñ nahīñ thā so vo merā na huā
haa.e vo ḳhaas 'ināyat se banāyā huā shaḳhs
jo bhī koshish kī bhulāne kī vo nākām rahī
dil se jaatā hī nahīñ dil meñ samāyā huā shaḳhs
kitnī āsānī se duniyā ne use chhīn liyā
ek muddat kī riyāzat se kamāyā huā shaḳhs
maiñ ne to tark-e-ta'alluq kī qasam khaa.ī thī
yaad kyoñ aatā hai mujh ko vo bhulāyā huā shaḳhs
maiñ ne rakhā thā jise raaz vo pinhāñ na rahā
mere chehre se 'ayāñ hai vo gañvāyā huā shaḳhs
in du'āoñ ke havāle se gurezāñ huā kyoñ
jin ke bā'is hai ye taḳhlīq meñ aayā huā shaḳhs
nā-gahānī meñ achānak bhī chale jaate haiñ log
kyā bulāve pe faqat jā.egā aayā huā shaḳhs
fāsle saare miTā detī hai chāhat 'shamsa'
dil ke nazdīk hai vo duur se aayā huā shaḳhs
ab bhi rahta hai KHayalon mein samaya hua shaKHs
apni nadani se raste mein ganwaya hua shaKHs
meri qismat mein nahin tha so wo mera na hua
hae wo KHas 'inayat se banaya hua shaKHs
jo bhi koshish ki bhulane ki wo nakaam rahi
dil se jata hi nahin dil mein samaya hua shaKHs
kitni aasani se duniya ne use chhin liya
ek muddat ki riyazat se kamaya hua shaKHs
main ne to tark-e-ta'alluq ki qasam khai thi
yaad kyon aata hai mujh ko wo bhulaya hua shaKHs
main ne rakha tha jise raaz wo pinhan na raha
mere chehre se 'ayan hai wo ganwaya hua shaKHs
in du'aon ke hawale se gurezan hua kyon
jin ke ba'is hai ye taKHliq mein aaya hua shaKHs
na-gahani mein achanak bhi chale jate hain log
kya bulawe pe faqat jaega aaya hua shaKHs
fasle sare miTa deti hai chahat 'shamsa'
dil ke nazdik hai wo dur se aaya hua shaKHs
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.