ab chand nahin koi sitara nahin koi
ab chāñd nahīñ koī sitāra nahīñ koī
shab itnī añdherī hai ki niklā nahīñ koī
har-chand nazar aatī hai dīvār-e-tamannā
chāheñ ki Thahar jaa.eñ to saaya nahīñ koī
chehroñ ko ye ġham hai koī ā.īna nahīñ hai
ā.īna tarastā hai ki chehra nahīñ koī
jis se bhī milo dekh ke rah jaatā hai muñh ko
aisā bhī nahīñ hai ki shanāsā nahīñ koī
armān tumheñ fasl-e-gulistāñ kā hai 'fāḳhir'
shāḳhoñ pe yahāñ phuul to khiltā nahīñ koī
ab chand nahin koi sitara nahin koi
shab itni andheri hai ki nikla nahin koi
har-chand nazar aati hai diwar-e-tamanna
chahen ki Thahar jaen to saya nahin koi
chehron ko ye gham hai koi aaina nahin hai
aaina tarasta hai ki chehra nahin koi
jis se bhi milo dekh ke rah jata hai munh ko
aisa bhi nahin hai ki shanasa nahin koi
arman tumhein fasl-e-gulistan ka hai 'faKHir'
shaKHon pe yahan phul to khilta nahin koi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.