ab chhat pe koi chand Tahalta hi nahin hai
ab chhat pe koī chāñd Tahaltā hī nahīñ hai
dil merā magar pahlū badaltā hī nahīñ hai
kab se maiñ yahāñ but banā baiThā huuñ sar-e-rāh
but hai ki shivāle se nikaltā hī nahīñ hai
sone kī jagah roz badaltā huuñ maiñ lekin
vo ḳhvāb kisī tarah badaltā hī nahīñ hai
maiñ khīñchtā rahtā huuñ use dil se shab-o-roz
vo tiir mire dil se nikaltā hī nahīñ hai
ab chhat pe koi chand Tahalta hi nahin hai
dil mera magar pahlu badalta hi nahin hai
kab se main yahan but bana baiTha hun sar-e-rah
but hai ki shiwale se nikalta hi nahin hai
sone ki jagah roz badalta hun main lekin
wo KHwab kisi tarah badalta hi nahin hai
main khinchta rahta hun use dil se shab-o-roz
wo tir mere dil se nikalta hi nahin hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.