ab darmiyan koi bhi shikayat nahin bachi
ab darmiyāñ koī bhī shikāyat nahīñ bachī
ya.anī qarīb aane kī sūrat nahīñ bachī
ab aur koī sadma nahīñ jhel saktā maiñ
ab aur merī āñkhoñ meñ hairat nahīñ bachī
ḳhāmoshiyoñ ne apnā asar kar diyā shurūa
ab rishte ko sadā kī zarūrat nahīñ bachī
har samt sirf baat mohabbat kī hai ravāñ
ya.anī jahāñ meñ aaj mohabbat nahīñ bachī
fursat ke vaqt ishq se mahrūm maiñ rahā
phir aisā vaqt aayā ki fursat nahīñ bachī
ab darmiyan koi bhi shikayat nahin bachi
yani qarib aane ki surat nahin bachi
ab aur koi sadma nahin jhel sakta main
ab aur meri aankhon mein hairat nahin bachi
KHamoshiyon ne apna asar kar diya shurua
ab rishte ko sada ki zarurat nahin bachi
har samt sirf baat mohabbat ki hai rawan
yani jahan mein aaj mohabbat nahin bachi
fursat ke waqt ishq se mahrum main raha
phir aisa waqt aaya ki fursat nahin bachi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.