ab dil bujha bujha hai mujhe mar dijiye
ab dil bujhā bujhā hai mujhe maar dījiye
jiine meñ kyā rakhā hai mujhe maar dījiye
dil ke maraz kā ab nahīñ duniyā meñ kuchh ilaaj
ye ishq-e-lā-davā hai mujhe maar dījiye
maiñ be-gunāh huuñ to yahī hai mirī sazā
ye faisla huā hai mujhe maar dījiye
Dartā huuñ aa.ine ko lagāne se haath maiñ
kahtā ye ā.īna hai mujhe maar dījiye
maiñ huuñ vafā-shi.ār yahāñ jī ke kyā karūñ
ye daur-e-bevafā hai mujhe maar dījiye
vallāh be-nashsha na rahī merī koī shaam
ukhḌā huā nasha hai mujhe maar dījiye
ai jān-e-dil-bahār terī be-ruḳhī ke baad
ab mere paas kyā hai mujhe maar dījiye
tanhā.iyoñ kī qaid se ghabrā ke ek shaḳhs
āvāz de rahā hai mujhe maar dījiye
ek baat josh josh meñ sach kah gayā huuñ maiñ
tum ko burā lagā hai mujhe maar dījiye
tanhā.ī merī us se bhī dekhī nahīñ ga.ī
us ne bhī ye kahā hai mujhe maar dījiye
rashk-e-chaman banā hai ye 'arpit' mirā vajūd
ḳhushbū ko chhū liyā hai mujhe maar dījiye
ab dil bujha bujha hai mujhe mar dijiye
jine mein kya rakha hai mujhe mar dijiye
dil ke maraz ka ab nahin duniya mein kuchh ilaj
ye ishq-e-la-dawa hai mujhe mar dijiye
main be-gunah hun to yahi hai meri saza
ye faisla hua hai mujhe mar dijiye
Darta hun aaine ko lagane se hath main
kahta ye aaina hai mujhe mar dijiye
main hun wafa-shiar yahan ji ke kya karun
ye daur-e-bewafa hai mujhe mar dijiye
wallah be-nashsha na rahi meri koi sham
ukhDa hua nasha hai mujhe mar dijiye
ai jaan-e-dil-bahaar teri be-ruKHi ke baad
ab mere pas kya hai mujhe mar dijiye
tanhaiyon ki qaid se ghabra ke ek shaKHs
aawaz de raha hai mujhe mar dijiye
ek baat josh josh mein sach kah gaya hun main
tum ko bura laga hai mujhe mar dijiye
tanhai meri us se bhi dekhi nahin gai
us ne bhi ye kaha hai mujhe mar dijiye
rashk-e-chaman bana hai ye 'arpit' mera wajud
KHushbu ko chhu liya hai mujhe mar dijiye
- Book : Word File Mail By Salim Saleem
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.