ab dil mein tere tir ka paikan nahin raha
ab dil meñ tere tiir kā paikāñ nahīñ rahā
kyūñkar jiyūñ ki ziist kā sāmāñ nahīñ rahā
gardūñ kī samt dekh ke ruḳhsat huā marīz
jab koī us ke haal kā pursāñ nahīñ rahā
tāroñ ne kar diyā tirī vahshat kā raaz faash
ai raat terā husn bhī pinhāñ nahīñ rahā
mujh par to terī aañkh ne phir kar ġhazab kiyā
maiñ lutf-gīr-e-gardish-e-daurāñ nahīñ rahā
fasl-e-bahār kī mirī vahshat ne dī ḳhabar
ab dil sambhālnā mujhe āsāñ nahīñ rahā
ai yaas tū ne aa ke sahārā diyā mujhe
jab koī mere haal kā pursāñ nahīñ rahā
pichhle pahar shikast kī āvāz aa.ī hai
TuuTā hai dil ki zabt kā imkāñ nahīñ rahā
ab dil meñ tere tiir ke paikāñ kī yaad hai
go dil meñ tere tiir kā paikāñ nahīñ rahā
hañste haiñ phuul zaḳhm pe dushman hai bāġhbāñ
gulshan meñ jī bahalne kā sāmāñ nahīñ rahā
jo dard tū ne jis ko diyā vaah re asar
us dard kā jahān meñ darmāñ nahīñ rahā
vahshat bharī nigāh ne vīrān kar diyā
ab kyā karūñ vo rañg-e-gulistāñ nahīñ rahā
hasrat ne be-kasī meñ kafan ban ke Dhak liyā
ab lāsha mujh ġharīb kā uryāñ nahīñ rahā
'afsar' mushā.eron meñ hai kyoñ merī justujū
maiñ to mushā.eron meñ ġhazal-ḳhvāñ nahīñ rahā
ab dil mein tere tir ka paikan nahin raha
kyunkar jiyun ki zist ka saman nahin raha
gardun ki samt dekh ke ruKHsat hua mariz
jab koi us ke haal ka pursan nahin raha
taron ne kar diya teri wahshat ka raaz fash
ai raat tera husn bhi pinhan nahin raha
mujh par to teri aankh ne phir kar ghazab kiya
main lutf-gir-e-gardish-e-dauran nahin raha
fasl-e-bahaar ki meri wahshat ne di KHabar
ab dil sambhaalna mujhe aasan nahin raha
ai yas tu ne aa ke sahaara diya mujhe
jab koi mere haal ka pursan nahin raha
pichhle pahar shikast ki aawaz aai hai
TuTa hai dil ki zabt ka imkan nahin raha
ab dil mein tere tir ke paikan ki yaad hai
go dil mein tere tir ka paikan nahin raha
hanste hain phul zaKHm pe dushman hai baghban
gulshan mein ji bahalne ka saman nahin raha
jo dard tu ne jis ko diya wah re asar
us dard ka jahan mein darman nahin raha
wahshat bhari nigah ne viran kar diya
ab kya karun wo rang-e-gulistan nahin raha
hasrat ne be-kasi mein kafan ban ke Dhak liya
ab lasha mujh gharib ka uryan nahin raha
'afsar' mushaeron mein hai kyon meri justuju
main to mushaeron mein ghazal-KHwan nahin raha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.